Only logged in members can reply and interact with the post.
Join SimilarWorlds for FREE »

I Wish I Could Say What I Want to Say

Ae khuda bas itna bata... Ki kuch logo ko aisa kyu mehsus hone lagta hai ki tu nahi hai.... Tu hai hi nahi... Prakriti ki niyam yahi hai na raat k baad subah ati hai... Jo roshni le ati hai.... Lekin dukho ka ant kyu nahi hota.... Kya yuhin dukho ka badaal mandrata rahega....... Kyu kuch log bht hi badkismat hote.... Jinki jholi mein khusiyan nahi hoti hai.... Kehte hai... Khusiyan Hume khud hi dhundni padti hai.... Par khush hone ki wajah bhi to honi chahiye..... Jaise paudho mei pani sijo to wo khilta hai.... Wese hi ek insaan k zindagi mein koi wajah honi chahiye khilne k liye. ..
Akhir mein yahi kehna chahungi ki "kuch log itne badnaseeb kyu hote hai..... "
This page is a permanent link to the reply below and its nested replies. See all post replies »
SW-User
Khushi khuda se maangne se nahi milti...khud dhundhni hoti hai....apni kismat se lad-jhagad ke chhenni padti hai...khushi bhi aur khush rehne ki wajah bhi.

Khuda ke bharose baithne se kuchh nahi hota...kehte hain ki wo bhi unki hi madad karta hai jo khud apni madad kar sakte hain.

Apni madad kiye bina khuda se mangne walon ke upar khuda sirf hansta hai, mazak banata hai, aur kuchh nahi...Aur khuda ke mazak insanon ke mazak se kahin jyada khatarnaak hote hain.